Surah Mulk Online Read: Is Surah ke fazail ke baray mein jo ahadees warid hui hain un mein se baaz to mutlaq hain yani kisi khaas waqt ki qaid nahi hai, jab ke baaz ahadees mein raat ko parhnay ka zikar hai, maslan yeh ke Rasool Allah (S.A.W.W) raat ko surah malik parhay baghair nahi sotay thay. lehaza raat ko parhnay ki soorat mein dono terhan ki ahadees par amal hojaye ga .
yani Hazrat Abdulallah bin Abbas Razi Allah anho se riwayat hai ke rasool Allah sale Allah alaihi wasallam ke aik sahabi raziallah anho ne aik qabar par khaima lgalya aur un ko pata nah tha ke yeh qabar hai, khaima mein baithy baithy achanak unhon ne suna ke is qabar mein aik insaan hai jo Surah Mulk parh raha hai, parhte parhte is ne poori sourat khatam kar di. yeh waqea unhon ne Hazrat Rasool e kareem (S.A.W.W) ki khidmat mein arz kya to aap ne farmaya ke yeh sourat azaab roknay wali hai, yeh sourat azaab se nijaat dainay wali hai, is ko qabar ke azab se bacha rahi hai.
Hazrat Abu-Hurera razi Allah anho se riwayat hai ke Rasool (S.A.W.W) ne farmaya : ke bila shubah quran mein aik sourat hai jis ki tees ayatain hain, is ne 1 shakhs ki sifarish ki yahan tak ke woh bakhash diya gaya, phir farmaya ke woh surah mulk hai.
Hazrat Jabir Razi Allah anho se riwayat hai ke nabi(S.A.W.W) surah sajda aur surah mulk parhay baghair nahi sotay thay.