Khwab mein Surah Al Teen ki Tilawat
Jis ne khawab mein Surah al teen ya is ka koi hissa parha ya is par parha gaya. To yeh tanbeeh aur khauf hai taa hum woh is se mehfooz rahay ga aur is ka injaam acha hoga. Aur kaha gaya ke usay nabiyo walyoon aur pak logon ka amal naseeb ho ga. Aur bakol baaz ke usay rizaq barket aur lambi umar naseeb hogi. Aur baaz dafaa is ki tabeer yeh hoti hai ke woh qisam uthaye ga .
Baaz ulama ne kaha ke woh sharminda ho ga. Aur is sharmindagi ka injaam acha hoga. Aur yeh bhi kaha gaya ke allah taala is ki hajtoon ko jaldi poora farmaen ge. Aur is ke rizaq ko aasaan farmaen ge. Aur kaha gaya ke woh ilm nafea haasil kere ga. Aur allah taala is ke sath deen o duniya aur akhirat mein aasaaniyon wala maamla farmaen ge .