Khwab mein Surah Al Ibraheem ki Tilawat
Jis ne khawab mein surah ibrahim ya is ka kuch hissa parha ya is par parha gaya. To hazrat jaffer sadiq farmatay hain ke mere waalid razi allah anho ne mujh se bayan kya hai. Ke mein ne hazrat hajab ban abdullah se is ke khawab mein tilawat kar ne walay ke baray mein poocha to unhon ne farmaya ke mein ne Hazrat Ayesha (R.A) ko farmatay hue suna ke tasbeeh kar ne walon mein se aur tauba karne walon mein se hoga.
Aur kaha gaya ke surah ibrahim ki tilawat ghumum o hamom ko daur kar ne ka sabab hai. Aur daleel hai qayamat ke din tak jitne logon ne buut parasti ki hai unkay barabar is ko sawab miley ga. Aur duniya mein jitni cheezon se bacha jata hai allah taala is ko un se nijaat day ga aur kaha gaya ke is ke deeni mamlaat achay hunge aur is ke mamlaat allah ke supurd hon ge.
Is ka parhnay wala kasrat se allah ki tasbeeh kere ga aur Allah ke huzoor kasrat se tauba kere ga.