Khwab mein Surah Yousaf ki Tilawat
Jis ne khawab mein surah Yousuf ya is ka kuch hissa parha ya is par parha gaya to imam nafea aur Ibn kaseer farmatay hain. Ke apne khandan mein se is ke bohat se dushman hon ge aur usay safar mein bohat khushhali aur maal miley ga. Aur kaha gaya ke is par zulm kya jaye ga. Jaisa ke hazrat Yousuf par khazanon ke muamlay mein zulm kya gaya tha.
Aur Daleel hai woh safar kere ga phir kisi shehar ka ya zameen ke kisi hissay ka maalik hoga. Aur is ke sath sath usay acha yaqeen, jamal aur khoubsurti haasil hogi. Aur kaha gaya ke woh riyasat aur maal haasil kere ga. Aur Allah taala is par mout ke sakrat ko aasaan farmaen ge. Aur kaha gaya ke woh khushkhabri aur khabar haasil kere ga. Aur fiqr ke baad Ghana zillat ke baad izzat aur tangdasti ke baad khushhali haasil hogi.
- Khwabon mein Rooh ki Haqeeqat
- Dreaming of Marriage | Unlocking Islamic Interpretations and Meanings
- Dreaming Death and its Islamic Meaninigs and Interpretations
- Seeing Fish In Dreams | Meaning and Interpretations by Ibn Sirin
- Different Snake Dreams Islamic Interpretations